اردو हिंदी
Ek nashtar-e-nazar ke talabgar hum bhi hain | Shaahi Shayari
ek nashtar-e-nazar ke talabgar hum bhi hain

Ghazal

Ek nashtar-e-nazar ke talabgar hum bhi hain

Sajida Zaidi

;

ek nashtar-e-nazar ke talabgar hum bhi hain
data ho tum ghamon ke to gham-KHwar hum bhi hain

hairan khaDe hue unhin rahon mein hain hanuz
ai rahrawan-e-kucha-e-dil-dar hum bhi hain

dariya samajh liya jise nikla wahi sarab
ek harf-e-tishnagi ke gunahgar hum bhi hain

munh rah-e-najd-e-shauq se moDa nahin abhi
han jurm-e-KHastagi ke KHatawar hum bhi hain

is bagh mein ki zagh-o-zaghan hain amin-e-gul
KHamosh dekhne ke saza-war hum bhi hain