ek naqsh bigaDne se ek had ke guzarne se
kya kya nahin mar jata ek KHwab ke marne se
ab arsa-e-hasti mein sad-rang manazir hain
is aaina-e-dil mein ek aks utarne se
ek umr ki kawish se hum ne to yahi jaana
sab kaam sanwarte hain is dal ke sanwarne se
raazi hain ba-sad raghbat ai jaan-e-tamanna hum
ye baat jo ban jae sau bar bhi marne se
wo mauj hi aisi thi jangal jo uDa le jae
kis tarah bachate phir hum KHud ko bikharne se
Ghazal
Ek naqsh bigaDne se ek had ke guzarne se
Mubeen Mirza