اردو हिंदी
Ek nai subh ka aaghaz hai anjam ke baad | Shaahi Shayari
ek nai subh ka aaghaz hai anjam ke baad

Ghazal

Ek nai subh ka aaghaz hai anjam ke baad

Khizr Barni

;

ek nai subh ka aaghaz hai anjam ke baad
phir wahi silsila-e-ishq hai ilzam ke baad

jaane kya hoga meri sai-e-talab ka hasil
zehn mein kuchh nahin mahfuz tere nam ke baad

sehn-e-gulshan mein bahaaron ka nishan tak bhi nahin
KHak uDti hai faqat gardish-e-ayyam ke baad

subh se karb-o-aziyyat ka ye aalam tauba
dard kuchh aur siwa hota hai har sham ke baad

us se pahle to har ek azm-o-amal hai be-sud
qalb-e-muztar ko sukun milta hai aalam ke baad

us ne kuchh aur KHitabaat diye hain KHat mein
sath wahshi bhi likha hai mujhe badnam ke baad

meri jaanib bhi KHizar bazm-e-adu mein ek din
us ki maKHsus nazar thi nigah-e-am ke baad