ek nafas nabud se bahar zara rahta hun main
gum-shuda chizon ke andar lapata rahta hun main
jitni baaten yaad aati hain wo likh leta hun sab
aur phir ek ek kar ke bhulta rahta hun main
garm-joshi ne mujhe jhulsa diya tha ek din
andarun ke sard-KHane mein paDa rahta hun main
KHarch kar deta hun sab maujud apne hath se
aur na-maujud ki dhan mein laga rahta hun main
jitni gahrai hai 'adil' utni hi tanhai hai
bas ki sath-e-zindagi par tairta rahta hun main
Ghazal
Ek nafas nabud se bahar zara rahta hun main
Zulfiqar Aadil