ek na ek sham andhere mein jalae rakhiye
subh hone ko hai mahaul banae rakhiye
dil ke hathon se hamein zaKHm-e-nihan pahunche hain
wo bhi kahte hain ki zaKHmon ko chhupae rakhiye
kaun jaane ki wo kis rahguzar par guzre
har guzargah ko phulon se sajae rakhiye
daman-e-yar ki zinat na bane hum afsos
apni palkon ke liye kuchh to bachae rakhiye
Ghazal
Ek na ek sham andhere mein jalae rakhiye
Tariq Badayuni