ek musht-e-par hun mujh ko yaqinan sukun nahin
lekin hawa uDa ke jo le jae yun nahin
aksar zamane walon ne socha hai is tarah
maujud hun magar ye KHabar ho ki hun nahin
KHuddari-e-mizaj kuchh itni aziz hai
mil jae sab jahan to main us ko dun nahin
waiz ne yun bana liya KHud nazm-e-zindagi
hote rahen gunah pa us ko ginun nahin
nazzara chahiye to bayaban mein aaiye
sab kuchh wahan pe sach hai zara sa fusun nahin
duniya ye chahti hai 'wasiya' har ek se
apni to sab kahun pe kisi ki sunun nahin
Ghazal
Ek musht-e-par hun mujhko yaqinan sukun nahin
Fatima wasia Jayasi