ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya
zulmat mein teri yaad ka zina nikal aaya
har-chand ki mahfil ne meri qadar bahut ki
ukta ke anguThi se nagina nikal aaya
phir koh-kani Dhaal rahi hai nae teshe
phir faKHr se chaTTan ka sina nikal aaya
sach-much wo taghaful se kinara hi na kar le
main sochne baiTha to pasina nikal aaya
ghota jo lagaya hai to mayus hua hun
har mauj ke daman mein safina nikal aaya
ghabraya hua dekh ke patjhaD ke aqab se
mere liye sawan ka mahina nikal aaya
jab waqt ne chhani hain 'muzaffar' ki bayazen
har sher mein nudrat ka dafina nikal aaya
Ghazal
Ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya
Muzaffar Hanfi