ek masarrat mere atraf ko anjaani de
nutq ko lab se uTha aankh ko hairani de
hai tamanna ki chamakte rahen mehwar ke baghair
hawas-e-KHam na de ishq tu la-fani de
naqsh to sare mukammal hain ab uljhan ye hai
kis ko aabaad kare aur kise virani de
dekh kar aae hain kuchh log wahan sabz lakir
main use dekh sakun itni giran-jaani de
ye to dekhen ki hai buniyaad mein kya kya mahfuz
ghar banaya hai to ab warta-e-tughyani de
aks-e-ruKH kaisa yahan kuchh bhi nahin hai dil mein
hum ko shadab na kar hausla tufani de
samne tere hum is KHak se sharminda na hon
maut aasan ho ya rizq mein arzani de
jaane kya kya nazar aata hai tamanna bar-kaf
mere malik mujhe do rose ki sultani de
hausla haar gai tishna-dahani 'haqqi'
ab tu mashkiza uTha aur mujhe pani de
Ghazal
Ek masarrat mere atraf ko anjaani de
Abul Hasanat Haqqi