ek manzar-e-fareb-e-mohabbat hai pyar hai
chehre bata rahe hain dilon mein ghubar hai
main sun raha hun baDhti hui shorishon ki chap
duniya samajh rahi hai faza sazgar hai
chal mere sath aur qadam tol tol kar
sabr-o-raza ki rah baDi pechdar hai
din aaj ka sukun se guzar jae fikr kar
har aane wale kal ka kise e'tibar hai
is aas ko sambhaal ke fanus-e-dil mein rakh
jis aas par hayat ka dar-o-madar hai
tartib de rahe hain charaghon ki anjuman
wo log subh-e-nau ka jinhen intizar hai
ai 'saz' kuchh-na-kuchh to hai is lutf-e-KHas mein
zikr un ki anjuman mein mera bar bar hai
Ghazal
Ek manzar-e-fareb-e-mohabbat hai pyar hai
Jaleel Saz