اردو हिंदी
Ek makan aur bulandi pe banane na diya | Shaahi Shayari
ek makan aur bulandi pe banane na diya

Ghazal

Ek makan aur bulandi pe banane na diya

Manzar Bhopali

;

ek makan aur bulandi pe banane na diya
hum ko parwaz ka mauqa hi hawa ne na diya

tu KHuda ban ke miTaega hamein hi ek din
sar tere dar pe isi Dar ne jhukane na diya

muttahid hone ka jazba tha sabhi mein lekin
muttahid hone ka mauqa hi hawa ne na diya

tum pe chha jate shajar bante jo nanhe paude
tum ne achchha hi kiya panw jamane na diya

wo to aamada tha bandon ki shikayat sun kar
kuchh farishton ne zamin par use aane na diya

aap Darte hain ki khul jae na asli chehra
is liye shahr ko aaina banane na diya