اردو हिंदी
Ek mahak si dam-e-tahrir kahan se aai | Shaahi Shayari
ek mahak si dam-e-tahrir kahan se aai

Ghazal

Ek mahak si dam-e-tahrir kahan se aai

Shaanul Haq Haqqi

;

ek mahak si dam-e-tahrir kahan se aai
nam mein tere ye tasir kahan se aai

pahlu-e-saz se ek mauj-e-hawa guzri thi
ye chhanakti hui zanjir kahan se aai

dam hamara to raha halqa-e-lab hi mein asir
bu-e-gul ye teri taqdir kahan se aai

ahl-e-himmat ke miTane se to farigh ho le
dahr ko fursat-e-tamir kahan se aai

go tarasta hai abhi tak teri tahrir ko dil
phir bhi jaane teri taswir kahan se aai

yunhi ho jata hai qismat se koi gham bedar
ishq ke hath mein tadbir kahan se aai

kis taraf jate hain yaro ye bigaDte hue naqsh
ye sanwarti hui taswir kahan se aai

lahn-e-bulbul ka chala kaun se gul par afsun
sirf ek tarz hai tasir kahan se aai

paD gaya soz-e-suKHan hath hamare kyunkar
KHak hone ko ye iksir kahan se aai