ek lau thi mere KHun mein tahlil to ye thi
ek barq si rau thi meri qindil to ye thi
tere ruKH-e-KHamosh se meri rag-e-jaan tak
jo kaam kiya aankh ne tarsil to ye thi
banna tha to banta na farishta na KHuda main
insan hi banta meri takmil to ye thi
sanpon ke tasallut mein the chiDiyon ke basere
maftuh gharane! teri tamsil to ye thi
Tile ka khanDar sadiyon ki tariKH liye tha
ijmal batata tha ki tafsil to ye thi
wo jaanta tha sajda faqat tujh ko rawa hai
palTa na phir is hukm se tamil to ye thi
ek KHwab dhundlakon mein bikharta hua 'kausar'
aaKHir ruKH-e-tabir ki tashkil to ye thi
Ghazal
Ek lau thi mere KHun mein tahlil to ye thi
Iqbal Kausar