اردو हिंदी
Ek lamha-e-visal tha wapas na aa saka | Shaahi Shayari
ek lamha-e-visal tha wapas na aa saka

Ghazal

Ek lamha-e-visal tha wapas na aa saka

Raees Warsi

;

ek lamha-e-visal tha wapas na aa saka
wo waqt ki misal tha wapas na aa saka

har ek ko apna haal sunane se faeda
mera jo ham-KHayal tha wapas na aa saka

shayad mere firaq mein ghar se chala tha wo
zaKHmon se paemal tha wapas na aa saka

shayad hujum-e-sadma-e-furqat ke ghao se
wo is qadar niDhaal tha wapas na aa saka

shayad main us ko dekh ke sab ko bhula hi dun
us ko ye ehtimal tha wapas na aa saka

kitne KHayal rup haqiqat ka pa gae
jo markaz-e-KHayal tha wapas na aa saka

mujh ko mere wajud se jo kar gaya juda
kaisa wo ba-kamal tha wapas na aa saka

har dam 'rais' wo to nazar ke hai samne
tera to ye KHayal tha wapas na aa saka