ek lafz-e-mohabbat ke bane lakh fasane
tohmat ke bahane kabhi shohrat ke bahane
kis ko ye KHabar thi ki bikhar jaenge pal mein
aankhon ne saja rakkhe the jo KHwab suhane
ek zaKHm-e-judai hai ki nasur bana hai
karta hun tujhe yaad isi gham ke bahane
aqdar ka fuqdan hawasnaki-o-wahshat
sab parde haTa rakkhe hain ab sharm-o-haya ne
furqat ki shab-e-karb ke jate hue lamho
kab lauT ke aaoge mujhe phir se rulane
bhane lagi jab dil ko zara bazm ki raunaq
tanhai meri aa gai phir mujh ko manane
wo gul hun jo Thahraya gaya tang-e-bahaaran
pamal kiya KHud hi jise baad-e-saba ne
shakir hun main har haal mein raazi-ba-raza hun
taskin ki daulat mujhe baKHshi hai KHuda ne
aazar-e-gham-e-dil ko na hona tha shifayab
kuchh kaam kiya 'chand' dawa ne na dua ne
Ghazal
Ek lafz-e-mohabbat ke bane lakh fasane
Mahendra Partap Chand