ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasana hai
jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai
dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai
dil phir bhi mera dil hai dil hi to zamana hai
hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai
rone ko nahin koi hansne ko zamana hai
wo aur wafa-dushman manenge na mana hai
sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai
shaer hun main shaer hun mera hi zamana hai
fitrat mera aaina qudrat mera shana hai
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai
apni hi musibat hai apna hi fasana hai
kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai
aaghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai
ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai
aankhon mein nami si hai chup chup se wo baiThe hain
nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai
hum dard-ba-dil nalan wo dast-ba-dil hairan
ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai
ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
ai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha
aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai
thoDi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti
aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai
ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije
ek aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai
KHud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna
jab dekhiye ab wo hain aaina hai shana hai
taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan
ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai
ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna
jine ki tamanna hai marne ka zamana hai
mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna
ab aae wo ab aae lazim unhen aana hai
KHuddari-o-mahrumi mahrumi-o-KHuddari
ab dil ko KHuda rakkhe ab dil ka zamana hai
ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
masum mohabbat ka masum fasana hai
aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin
bandh jae so moti hai rah jae so dana hai
Ghazal
Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
Jigar Moradabadi