اردو हिंदी
Ek lafz aa gaya tha jo meri zaban par | Shaahi Shayari
ek lafz aa gaya tha jo meri zaban par

Ghazal

Ek lafz aa gaya tha jo meri zaban par

Arshad Kamal

;

ek lafz aa gaya tha jo meri zaban par
chhaya raha na jaane wo kis kis ke dhyan par

mujh ko talash karte ho auron ke darmiyan
hairan ho raha hun tumhaare guman par

mahfil mein doston ki wahi naghma ban gaya
shab-KHun ka jo shor tha mere makan par

be-shak zamin hanuz hai apne madar mein
lekin dimagh us ka to hai aasman par

shayad meri talash mein utri hai charKH se
jo dhup paD rahi hai mere saeban par

rahta hai be-niyaz jo aab o sarab se
khulta hai raaz-e-dasht usi sarban par

ehsas us ka jama-e-izhaar mange hai
uftad aa paDi hai ye 'arshad' ki jaan par