ek KHwab laDakpan mein jo dekha tha wo tum the
paikar jo tasawwur mein ubharta tha wo tum the
ek aisa talluq jo talluq bhi nahin tha
phir bhi main jise apna samajhta tha wo tum the
tha qurb ki KHwahish mein bhi kuchh husn ajab sa
jo gird mere rang tha naghma tha wo tum the
yak-dam jo ye tanhai mahakne si lagi thi
jhonka jo abhi KHushbu ka guzra tha wo tum the
is waste mai-KHwari ka ilzam tha mujh par
mujh mein jo wo ek nashsha sa rahta tha wo tum the
ghibat ka hadaf tum ne jo rakkha tha wo main tha
aur main ne jise TuT ke chaha tha wo tum the
be-masraf-o-be-kar hun ab rakh ki manind
chingari thi jo mujh mein jo shoala tha wo tum the
lagta hai wo shahr ab kisi aaseb-zada sa
kya jis ke liye jashn sa barpa tha wo tum the
Ghazal
Ek KHwab laDakpan mein jo dekha tha wo tum the
Murtaza Birlas