ek KHwab chhan se TuT ke aankhon mein gaD gaya
itna hanse ki chiKH ke rona bhi paD gaya
ye kis ne apni Tis waraq par utar di
ye kaun apne dil ko siyahi se jaD gaya
ab to KHayal-e-yar se hota hai KHauf sa
chehra kisi ki yaad ka kitna bigaD gaya
lahron ka shor tham gaya tufan so gae
kashti ke Dubte hi samundar ujaD gaya
jab tak hamare nam se waqif hua jahan
tab tak hamare nam ka patthar ukhaD gaya
kar to liya hai dard ki lahron ka samna
lekin hamare zarf ka baKHiya udhaD gaya
us ko Thahar ke dekhte hasrat hi rah gai
wo dafatan mila tha achanak bichhaD gaya
Ghazal
Ek KHwab chhan se TuT ke aankhon mein gaD gaya
Manish Shukla