ek khilauna TuT jaega naya mil jaega
main nahin to koi tujh ko dusra mil jaega
bhagta hun har taraf aise hawa ke sath sath
jis tarah sach-much mujhe us ka pata mil jaega
kis tarah rokoge ashkon ko pas-e-diwar-e-chashm
ye to pani hai ise to rasta mil jaega
ek din to KHatm hogi lafz o mani ki talash
ek din to mujh ko mera muddaa mil jaega
ek din to apne jhuTe KHol ko toDega wo
ek din to us ka darwaza khula mill jaega
ja raha hun is yaqin se us ke chhoDe ghar ki samt
jaise wo bahar gali mein jhankta mil jaega
chhoD KHali ghar ko aa bahar chalen ghar se 'adim'
kuchh nahin to koi chehra chand sa mil jaega
tez hoti ja rahi hain dhaDkanen aise 'adim'
jaise agle moD par wo be-wafa mil jaega
Ghazal
Ek khilauna TuT jaega naya mil jaega
Adeem Hashmi