اردو हिंदी
Ek KHalq jo har samt se aai tere dar par | Shaahi Shayari
ek KHalq jo har samt se aai tere dar par

Ghazal

Ek KHalq jo har samt se aai tere dar par

Sharaf Mujaddidi

;

ek KHalq jo har samt se aai tere dar par
aaya nazar-andaz KHudai tere dar par

thi jis ki tamanna dil-e-mushtaq ko har dam
wo chiz agar pai to pai tere dar par

ushshaq ke aage na laDa ghairon se aankhen
Dar hai ki na ho jae laDai tere dar par

dekhi jo yahan aa ke jhaDi abr-e-karam ki
sab dil ki lagi hum ne bujhai tere dar par

is nafas hi kam-baKHt ne roka tha 'sharaf' ko
dushwar na thi warna rasai tere dar par