ek KHalish si hai mujhe taqdir se
al-aman us KHar-e-daman-gir se
hasrat-e-nazzara ki tasir se
parda uTTha yar ki taswir se
sham-e-gham ke rone wale sabr kar
subh bhi hogi teri taqdir se
iddaa-e-zabt-e-gham karna paDa
tang aa kar aah-e-be-tasir se
mujh ko diwana samajh len ahl-e-hosh
kyun ulajhte hain meri zanjir se
dil nahin ek aabla sine mein hai
is nigah-e-garm ki tasir se
hoti hai taskin 'farhat' kuchh na kuchh
KHush hun apni aah-e-be-tasir se
Ghazal
Ek KHalish si hai mujhe taqdir se
Farhat Kanpuri