ek KHalish ko hasil-e-umr-e-rawan rahne diya
jaan kar hum ne unhen na-mehrban rahne diya
aarzu-e-qurb bhi baKHshi dilon ko ishq ne
fasla bhi mere un ke darmiyan rahne diya
kitni diwaron ke sae hath phailate rahe
ishq ne lekin hamein be-KHanuman rahne diya
apne apne hausle apni talab ki baat hai
chun liya hum ne tumhein sara jahan rahne diya
kaun is tarz-e-jafa-e-asman ki dad de
bagh sara phunk Dala aashiyan rahne diya
ye bhi kya jine mein jina hai baghair un ke 'adib'
shama gul kar di gai baqi dhuan rahne diya
Ghazal
Ek KHalish ko hasil-e-umr-e-rawan rahne diya
Adeeb Saharanpuri