ek KHala, ek la-intiha aur main
kitne tanha hain mera KHuda aur main
kitne nazdik aur kis qadar ajnabi!!
mujh mein mujh sa koi dusra aur main
log bhi so gae, rog bhi so gae
jagte hain mera rat-jaga aur main
raat aur raat mein gunjti ek baat
ek KHauf, ek munDer, ek diya aur main
shahr taraj hai, jabr ka raj hai
phir bhi sabit hain meri ana aur main
tere mausam, teri guftugu aur tu
meri aankhon mein ek an-kaha, aur main
ab to is jang ka faisla ho koi
laD rahe hain azal se hawa aur main
rang, KHushbu, shafaq, chandni, shaeri
likh raha tha main, us ne kaha aur main!
us ki baat aur hai, warna ai 'iftiKHar'
us ko malum hai, iltija aur main
Ghazal
Ek KHala, ek la-intiha aur main
Iftikhar Mughal