ek kar-e-garan hai khel nahin
zindagi imtihan hai khel nahin
har qadam soch kar yahan rakhna
dasht-e-umr-e-rawan hai khel nahin
ye miTi hai na miT sakegi kabhi
urdu-e-saKHt-jaan hai khel nahin
tirgi shab ki kyun na dam toDe
zaKHm-e-dil zau-fishan hai khel nahin
kuchh bhi mumkin hai dekhiye kya ho
lutf-e-chaara-garan hai khel nahin
jaane lawa sulag uThe kis waqt
dil ki aatish-fishan hai khel nahin
kaun samjhega un ki baat 'shafiq'
aainon ki zaban hai khel nahin
Ghazal
Ek kar-e-garan hai khel nahin
Shafiq Dehlvi