ek justuju sada hi se zehn-e-bashar mein hai
jab se mili zamin musalsal safar mein hai
har-chand mere sath udasi safar mein hai
raushan charagh-e-shauq magar chashm-e-tar mein hai
mallah kah raha hai ki sahil hai bas qarib
lekin mujhe pata hai ki kashti bhanwar mein hai
tum se kabhi jo bol na paya main ek baat
ban kar KHalish wo aaj bhi mere jigar mein hai
barbaadiyon ki zad pe faqat shaKH-e-gul nahin
gulshan tamam nargha-e-barq-o-sharar mein hai
jab se main un ke halqa-e-baiat mein aa gaya
'nayab' ek raushni fikr-o-nazar mein hai
Ghazal
Ek justuju sada hi se zehn-e-bashar mein hai
Jahangeer nayab