ek jafa-ju se mohabbat ho gai
hae ye kaisi himaqat ho gai
ho gaya jis par masiha mehrban
band us ke dil ki harkat ho gai
aa gai un ki jawani aa gai
ho gai barpa qayamat ho gai
ye tasawwur ki karishma-saziyan
dekha jis shai ko wo aurat ho gai
lije wo uTThi nigah-e-iltifat
lije takmil-e-himaqat ho gai
jab nigah-e-naz kamsin ki uThi
nannhi-munni ek qayamat ho gai
jab hue wo mail-e-ahd-e-wafa
baDh ke mane un ki luknat ho gai
kya kare bechaari duzdida nigah
chori karna us ki fitrat ho gai
ye inayat-e-musalsal al-aman
duguni aur tiguni musibat ho gai
munh lagi ummal-e-ahd-e-nau ke bhi
kisi qadar gustaKH rishwat ho gai
main ne yun dil ko banaya aaina
aaina-gar ko bhi hairat ho gai
lakh zalim ne chhupae apne aib
'shauq' us ki phir bhi shohrat ho gai
Ghazal
Ek jafa-ju se mohabbat ho gai
Shauq Bahraichi