اردو हिंदी
Ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai | Shaahi Shayari
ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai

Ghazal

Ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai

Qateel Shifai

;

ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai
ek hosh-ruba inam ki saqi raat guzarne wali hai

wo dekh sitaron ke moti har aan bikharte jate hain
aflak pe hai kohram ki saqi raat guzarne wali hai

go dekh chuka hun pahle bhi nazzara dariya-noshi ka
ek aur sala-e-am ki saqi raat guzarne wali hai

ye waqt nahin hai baaton ka palkon ke sae kaam mein la
ilham koi ilham ki saqi raat guzarne wali hai

mad-hoshi mein ehsas ke unche zine se gir jaane de
is waqt na mujh ko tham ki saqi raat guzarne wali hai