اردو हिंदी
Ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main | Shaahi Shayari
ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main

Ghazal

Ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main

Aazim Kohli

;

ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main
aur dil ki dhaDkanon se bhi ghabra raha hun main

kar dega wo muaf mere har gunah ko
ye soch kar gunah kiye ja raha hun main

chhoDa kahin ka mujh ko na duniya ke dard ne
phir bhi tera karam ki jiye ja raha hun main

rah-e-wafa mein miT gae jab fasle sabhi
phir kyun nigah-e-yar se sharma raha hun main

phir ho rahi hain pyar ki sab hasraten jawan
phir dil usi ki yaad se bahla raha hun main

ek din chuka hi dunga zamane ka bhi hisab
kuchh baat hai jo zabt kiye ja raha hun main

ulfat ki rah par tujhe mil jaega KHuda
is be-qarar dil ko ye samjha raha hun main

wo shoKH ek nigah mein sab saf kah gaya
muddat se jis ko kahne se katra raha hun main

'azim' yaqin nahin use kyun meri baat par
kya kam hai ye ki us ki qasam kha raha hun main