ek inqalab ki yaksar tha us ke jate hi
ki dil lahu nahin patthar tha us ke jate hi
wo umr bhar mujhe jis se rihai de na saka
main us hisar ke bahar tha us ke jate hi
usi ke dam se tha qaem nizam-e-mai-KHana
kahin subu kahin saghar tha us ke jate hi
mujhe to pahle hi ashkon ne rasta na diya
ghubar-e-rah bhi sar par tha us ke jate hi
tamam shahr ek taswir ban gaya tha 'shahab'
ajib did ka manzar tha us ke jate hi
Ghazal
Ek inqalab ki yaksar tha uske jate hi
Mustafa Shahab