اردو हिंदी
Ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri | Shaahi Shayari
ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri

Ghazal

Ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri

Muhammad Ayyub Zauqi

;

ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri
ek iztirab-e-mukammal hai KHamushi meri

ye kis maqam pe pahunchi KHud-agahi meri
ki aaj aap ne mahsus ki kami meri

mizaj-e-husn ko bhai na bandagi meri
niyaz-e-ishq mein shamil rahi KHudi meri

muhit-e-kaun-o-makan hai jamal-e-parda-nashin
wo samne the jahan tak nazar gai meri

hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka
huzur-e-husn baDhi aur bebasi meri

gulon ka zikr hi kya gul to KHair gul hi hain
chaman ke KHar uDate hain ab hansi meri

pila pila ke nigahon se baada-e-taskin
baDha raha hai koi aur tishnagi meri

rula rula ke zamane ne intiqam liya
mujhe to ras na aai kabhi hansi meri

teri nigah ne kya de ke shad-kaam kiya
ki be-niyaz-e-tamanna hai zindagi meri

rulaegi meri yaad un ko muddaton 'zauqi'
karenge bazm mein mahsus jab kami meri