ek infial ko taqat samajh rahe ho tum
sawal ye hai ki kis tarah sochte ho tum
bahaar aag na degi tumhaare chulhon ko
ye aur baat ki is se bahal gae ho tum
dayar-e-waham-o-guman mein na ab haram hai na dair
ujDi chuki hai wo basti jidhar chale ho tum
diya na ishq ne jab kuchh to aql kya degi
ab is se mangte ho chain bawle ho tum
jabin-e-shauq ko apni kahan jhukana tha
kahan jhuki hai zarurat kahan jhuke ho tum
pasand aaegi kyun apne des ki koi chiz
bidesiyon ke niwale pe ji rahe ho tum
na mil saka jise indhan jalegi aag wo kya
dil-e-'jamil' ko nahaq kuredte ho tum
Ghazal
Ek infial ko taqat samajh rahe ho tum
Jameel Mazhari