اردو हिंदी
Ek imarat nai tamir hui jati hai | Shaahi Shayari
ek imarat nai tamir hui jati hai

Ghazal

Ek imarat nai tamir hui jati hai

Fani Jodhpuri

;

ek imarat nai tamir hui jati hai
shahr ki ek nai tafsir hui jati hai

ai mere azm-e-safar khinch ki le ja mujh ko
ek qasam panw ki zanjir hui jati hai

khinchne aai hai ab maut mere daman ko
aap ke KHwab ki tabir hui jati hai

had to ye hai ki meri zat ke andar bhi ab
ja-ba-ja aap ki jagir hui jati hai

main ne to KHwab samundar ki hi pale the magar
ye nadi kis liye tabir hui jati hai

kya ghazab hai ki tere nam ki tohmat kab se
be-sabab mere baghal-gir hui jati hai

phul ke jism pe titli ka lahu hai 'fani'
kya mere ahd ki taswir hui jati hai