اردو हिंदी
Ek hunar tha kamal tha kya tha | Shaahi Shayari
ek hunar tha kamal tha kya tha

Ghazal

Ek hunar tha kamal tha kya tha

Parveen Shakir

;

ek hunar tha kamal tha kya tha
mujh mein tera jamal tha kya tha

tere jaane pe ab ke kuchh na kaha
dil mein Dar tha malal tha kya tha

barq ne mujh ko kar diya raushan
tera aks-e-jalal tha kya tha

hum tak aaya tu bahr-e-lutf-o-karam
tera waqt-e-zawal tha kya tha

jis ne tah se mujhe uchhaal diya
Dubne ka KHayal tha kya tha

jis pe dil sare ahd bhul gaya
bhulne ka sawal tha kya tha

titliyan the hum aur qaza ke pas
surKH phulon ka jal tha kya tha