اردو हिंदी
Ek hunar hai jo kar gaya hun main | Shaahi Shayari
ek hunar hai jo kar gaya hun main

Ghazal

Ek hunar hai jo kar gaya hun main

Jaun Eliya

;

ek hunar hai jo kar gaya hun main
sab ke dil se utar gaya hun main

kaise apni hansi ko zabt karun
sun raha hun ki ghir gaya hun main

kya bataun ki mar nahin pata
jite-ji jab se mar gaya hun main

ab hai bas apna samna dar-pesh
har kisi se guzar gaya hun main

wahi naz-o-ada wahi ghamze
sar-ba-sar aap par gaya hun main

ajab ilzam hun zamane ka
ki yahan sab ke sar gaya hun main

kabhi KHud tak pahunch nahin paya
jab ki wan umr bhar gaya hun main

tum se jaanan mila hun jis din se
be-tarah KHud se Dar gaya hun main

ku-e-jaanan mein sog barpa hai
ki achanak sudhar gaya hun main