اردو हिंदी
Ek hawa uTThegi sare baal-o-par le jaegi | Shaahi Shayari
ek hawa uTThegi sare baal-o-par le jaegi

Ghazal

Ek hawa uTThegi sare baal-o-par le jaegi

Sajjad Babar

;

ek hawa uTThegi sare baal-o-par le jaegi
ye nai rut ab ke sab kuchh luT kar le jaegi

ek KHadsha pahle darwaze se apne sath hai
raston ki dilkashi KHu-e-safar le jaegi

ek chaurahe pe la kar chhup gaya hai aaftab
koi aawara karan ab dar-ba-dar le jaegi

ek tawaqqo le ke Takraya hun har rahraw ke sath
koi jhunjhlai hui Thokar to ghar le jaegi

dil ke kale ghaar mein sanson ke patthar jab gire
ek saat ki chamak sadiyon ke Dar le jaegi

fikr ko 'sajjad' pahnae pasandida libas
ye nahin socha ki wo gahra asar le jaegi