ek hara jazira bhi paniyon se aage hai
us ki did ki saat rat-jagon se aage hai
kaun se manazir mein us ko DhunDne niklen
wo guman se haT kar hairaton se aage hai
baadban ki aankhen KHwab kaun sa dekhen
kaun ek kinara sa sahilon se aage hai
aks jhilmilate hain ek sabz qarye ke
jo jale daraKHton ke jangalon se aage hai
nam kiya likhen us ka sab huruf us ke hain
kya use tarashen wo KHwahishon se aage hai
kaun si KHalaon mein kis ufuq ko jate ho
jo qadam uThate ho manzilon se aage hai

Ghazal
Ek hara jazira bhi paniyon se aage hai
Qayyum Tahir