ek hath duaon ka asar kaT raha hai
hai chhanw mein jis ki wo shajar kaT raha hai
kaTa tha kabhi main ne safar ek anokha
ek umr se ab mujh ko safar kaT raha hai
tum Darte ho aa jae na basti mein darinda
mujh ko to koi aur hi Dar kaT raha hai
phaila hai bahut dur talak mujh mein bayaban
Dasta hai daricha mujhe dar kaT raha hai
is shahr mein ras aati nahin aaina-sazi
lije wo mera dast-e-hunar kaT raha hai
ho jae kahin qad mein na kal is ke barabar
is KHauf se wo bhai ka sar kaT raha hai
har ek se aati hai bisand apni gharaz ki
dil kis ke rawayye ka samar kaT raha hai

Ghazal
Ek hath duaon ka asar kaT raha hai
Narjis Afroz Zaidi