ek guzarish hai bas itna kijiye
jab kabhi fursat ho aaya kijiye
log is ka bhi ghalat matlab na len
ajnabiyyat se na dekha kijiye
KHud ko apni aankh se dekha to hai
ab meri aankhon se dekha kijiye
iltija thi ek sada iltija
apni tanhai mein socha kijiye
yaad to hogi wo apni be-ruKHi
ab meri taswir dekha kijiye
marham-e-zaKHm-e-suKHan ban jaiye
kuchh mere fan ka mudawa kijiye
ishq ko kab yaad thi rasm-e-wafa
husn ka kis munh se shikwa kijiye
zulmat-e-gham jab ziyaada ho 'imam'
sham-e-fikr-o-fan jalaya kijiye
Ghazal
Ek guzarish hai bas itna kijiye
Mazhar Imam