ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut
in dinon KHud se bichhaD jaane ka dhaDka hai bahut
raat ho din ho ki ghaflat ho ki bedari ho
us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut
tishnagi ke bhi maqamat hain kya kya yani
kabhi dariya nahin kafi kabhi qatra hai bahut
mere hathon ki lakiron ke izafe hain gawah
main ne patthar ki tarah KHud ko tarasha hai bahut
koi aaya hai zarur aur yahan Thahra bhi hai
ghar ki dahliz pe ai 'nur' ujala hai bahut
Ghazal
Ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut
Krishn Bihari Noor