اردو हिंदी
Ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi | Shaahi Shayari
ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi

Ghazal

Ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi

Bharat Bhushan Pant

;

ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi
gard-e-safar bhi panw ki zanjir mein rahi

KHwabon ke intiKHab mein kya chuk ho gai
har bar ek shikastagi tabir mein rahi

rangon ka tal-mel bahut KHub tha magar
phir bhi koi kami teri taswir mein rahi

chaaragaron se dard ka darman na ho saka
allah jaane kya kami tadbir mein rahi

kuchh der tak to zaKHm se uljhi rahi dawa
kuchh der tak to dard ki tasir mein rahi

qatil ne sare dagh to pani se dho diye
taza lahu ki bu jo thi shamshir mein rahi

shoala-bayani go mera tarz-e-suKHan nahin
ek aanch si magar meri tahrir mein rahi