ek gali se KHushbu ki rasm-o-rah kafi hai
lakh jabr mausam ho ye panah kafi hai
niyyat-e-zuleKHa ki khoj mein rahe duniya
apni be-gunahi ko dil gawah kafi hai
umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat
KHuld se nikalne ko ek gunah kafi hai
aasman pe ja baiThe ye KHabar nahin tum ko
arsh ke hilane ko ek gunah kafi hai
pairwi se mumkin hai kab rasai manzil tak
naqsh-e-pa miTane ko gard-e-rah kafi hai
chaar din ki hasti mein hans ke ji liye 'amabar'
be-nashat duniya se ye nibah kafi hai
Ghazal
Ek gali se KHushbu ki rasm-o-rah kafi hai
Ambareen Haseeb ambar