اردو हिंदी
Ek falak aur hi sar par to bana sakte hain | Shaahi Shayari
ek falak aur hi sar par to bana sakte hain

Ghazal

Ek falak aur hi sar par to bana sakte hain

Rafiq Raaz

;

ek falak aur hi sar par to bana sakte hain
kurra-e-arz ko behtar to bana sakte hain

ruh mein jis ne ye dahshat si macha rakkhi hai
us ki taswir guman bhar to bana sakte hain

ashk se KHak hui tar yahi bas kafi hai
ek be-jaan sa paikar to bana sakte hain

hum agar ahl nahin peD ke phal khane ke
shaKH-e-sarsabz ko KHanjar to bana sakte hain

sach hai hum girya-kunan kuchh bhi nahin kar sakte
regzaron ko samundar to bana sakte hain

aatish o nur se bijli ke rahen kyun mahrum
hum sar-e-dasht naya ghar to bana sakte hain

garche parwaz ki quwwat nahin KHwahish hai bahut
hum KHayalat ko shahpar to bana sakte hain

lala-gun manzar-e-shadab sarabon mein bhi
qulzum-e-KHun ho mayassar to bana sakte hain