ek ek lafz mein kai pahlu kahan se aae
jaanan tere suKHan mein ye jadu kahan se aae
jab tirgi mein chand sitare bhi gum hue
palkon ke shamiyane mein jugnu kahan se aae
suljha raha tha pech-o-KHam-e-zindagi magar
hathon mein yak-ba-yak tere gesu kahan se aae
shikwa nahin hai tujh se ki is rahguzar mein
sae na sath aae to phir tu kahan se aae
uljhan tamam umr yahi thi ki zist mein
aae kahan se rang ki KHushbu kahan se aae
sahra ki tarah KHushk thi phir us ke lams se
be-iKHtiyar aankh mein aansu kahan se aae
Ghazal
Ek ek lafz mein kai pahlu kahan se aae
Saleem Faraz