ek duje ko der se samjha der se yari ki
hum donon ne ek mohabbat bari bari ki
KHud par hansne walon mein hum KHud bhi shamil the
hum ne bhi ji bhar kar apni dil-azari ki
ek aansu ne dho Dali hai dil ki sari mail
ek diye ne kaT ke rakh di gahri tariki
dil ne KHud israr kya ek mumkina hijrat par
hum ne is majburi mein bhi KHud-muKHtari ki
chauda baras ke hijr ko im-shab ruKHsat karna hai
sara din so so kar jagne ki tayyari ki
hum bhi isi duniya ke basi the so hum ne bhi
duniya walon se thoDi si duniya-dari ki
'anjum' hum ushshaq mein uncha darja rakhte hain
be-shak ishq ne aisi koi sanad na jari ki
Ghazal
Ek duje ko der se samjha der se yari ki
Anjum Saleemi