ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai
kaisi bhi ho wahshat kam paD jati hai
zinda rahne ka nashsha hi aisa hai
jitni bhi ho muddat kam paD jati hai
apne aap se milta hun main fursat mein
aur phir mujh ko fursat kam paD jati hai
sahra mein aa nikle to malum hua
tanhai ko wusat kam paD jati hai
kuchh aisi bhi dil ki baaten hoti hain
jin baaton ko KHalwat kam paD jati hai
ek din yun hota hai KHush rahte rahte
KHush rahne ki aadat kam paD jati hai
kashif-'ghaer' dil ka qarz chukane mein
duniya bhar ki daulat kam paD jati hai
Ghazal
Ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai
Kashif Husain Ghair