ek dil ki KHatir itne to fitne kabhi na the
hote har ek qadam pe ye dhoke kabhi na the
phulon ki tazgi mein udasi hai sham ki
sae ghamon ke itne to gahre kabhi na the
baad-e-saba se puchhiye aaKHir hai baat kya
chehre gulon ke is qadar utre kabhi na the
daman mein har sahar ke jo manzar hai sham ka
naqshe jahan ke aise to dekhe kabhi na the
apni taraf bhi dekha to hael wo ho gae
aankhon mein ban ke KHwab jo utre kabhi na the
Ghazal
Ek dil ki KHatir itne to fitne kabhi na the
Faraz Sultanpuri