ek dhuan uTh raha hai aangan se
hain abhi kuchh charagh raushan se
is mein shamil hai bu-e-aflaki
ye hawa aa rahi hai kis ban se
dene aaya hun fath ka muzhda
bhag aaya nahin hun main ran se
manzilon ki bhi aarzu hai bahut
Dar bhi lagta hai mujh ko ran-ban se
ab bhi kya raat ke andhere mein
shola uThta hai gulshan-e-tan se
surKH-ru ishq ki badaulat hun
ki main is aag mein hun bachpan se
ye zamana hai chaplusi ka
hum to waqif nahin isi fan se
mujh se pahchan teri qaem hai
main tumhein chahta hun tan-man se
Ghazal
Ek dhuan uTh raha hai aangan se
Rafiq Raaz