اردو हिंदी
Ek dasht-e-be-aman ka safar hai chale-chalo | Shaahi Shayari
ek dasht-e-be-aman ka safar hai chale-chalo

Ghazal

Ek dasht-e-be-aman ka safar hai chale-chalo

Waheed Akhtar

;

ek dasht-e-be-aman ka safar hai chale-chalo
rukne mein jaan o dil ka zarar hai chale-chalo

hukkaam o sareqin ki go rah-guzar hai ghar
phir bhi barae-bait to dar hai chale--chalo

masjid ho madrasa ho ki majlis ki mai-kada
mahfuz shar se kuchh hai to ghar hai chale-chalo

zulmat hai yan bhi wan bhi andhere hi hon to kya
nur ek wara-e-hadd-e-nazar hai chale-chalo

utra kinar-e-bahr-e-atsh ek qafila
KHatm us pe tishnagi ka safar hai chale-chalo

sar tak pahunch na jae koi tez-gam lahar
yan KHun ki mauj ta-ba-kamar hai chale-chalo

jaan ke ziyan ka Dar hai talab mein agar to ho
tark-e-talab mein bhi to KHatar hai chale-chalo