ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe
dariya samundaron ka shanawar laga mujhe
mujh ko KHala ke par se aati hai ek sada
ai rahraw-e-KHayal zara par laga mujhe
ye aur baat main ne khangala inhen bahut
in paniyon se Dar hai barabar laga mujhe
zaKHmi ufuq dhuen ki kamand unghte daraKHt
manzar ki zad mein aa ke baDa Dar laga mujhe
wo din kahan ki us ko sar-e-sham dekh lun
pichhle pahar ka chand muqaddar laga mujhe
us ki jabin pe dekha to 'sajjad' kya kahun
dhabba bhi raushni ka samundar laga mujhe
Ghazal
Ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe
Sajjad Babar