ek daman mein phul bhare hain ek daman mein aag hi aag
ye hai apni apni qismat ye hain apne apne bhag
rah kaThin hai dur hai manzil waqt bacha hai thoDa sa
ab to suraj aa gaya sar par sone wale ab to jag
piri mein to ye sab baaten zahid achchhi lagti hain
zikr-e-ibaadat bhari jawani mein jaise be-waqt ka rag
auron par ilzam-tarashi fitrat hai hum logon ki
sach puchho to pal rakhe hain hum ne KHud zahrile nag
yahin paDe rah jaenge sab mal KHazane dhan-daulat
maut paDi hai tere pichhe bhag sake tu jitna bhag
hirs-o-hawa ki is duniya se bach ke raho to achchha hai
behtar hai shiraaz ki dawat se bas rukhi roTi sag
Ghazal
Ek daman mein phul bhare hain ek daman mein aag hi aag
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi